Pages

Tuesday 20 August 2019

Bewajah


Kya aukat hai meri
Kitna kamzoor hoon main
Kitna majboor hoon main
Kya bisaat hai meri
Kitna jasbati hoon main
Choti si baat kitni chubh jati hai
Itni lambi zindagi
Aise kaise guzaroonga
Har baar khud se kehta aya hoon
Akele hi aya hoon
Akele hi  jaaonga
Par lagta hai ab
Tanhaa tha aur tanhaa hi reh jaaonga
Na pyaar paya na kabi pyaar de paya
Na kisi ke kareeb hi ja paya
Har cheez mein bandishey hain
Har jagah khud ko ghonta hua hi paya
Pyaar dikhao toh badle mein narazgi milti hai
Gussa karo toh sab ko kadra samajh aati hai
Pyaar mein har koi aapke khilaf hota hai
Nafrat karo toh har koi saath deta hai
Is duniya ko samajhna naamumkin hai
Ab toh lagta hai yun ki
Ye sasein har pal bas youhi bewajah ati jati rehti hai

No comments:

Post a Comment