Pages

Saturday 26 January 2019

Teri mohobbat

Jane kaise aur kyun
har baar khud ko majhdhaar mein pata hoon
Ya parwardigaar yeh teri mohobbat hi toh hai
joh khud ko har baar teri chokhat pe
sar jhukaye paata hoon

Bediyan

Khud hi bediyan bandh li paon main
Khud hi dard se karhata hoon
Yeh jaane kaunsi Khushi hai
Jiske liye khud ko hi gum pahonchata hoon
Jane kaunsi manzil hai jisko paane ke liye
Apni khushiyoon ka gala ghoont tha chala jata hoon

Maa

Shayad bada ho gaya hoon ab main
Ab ro ro ke bura haal hai
lekin Maa se nahi keh sakta
Jake uske pallo ko pakad ke sab ki shikayat lagana chahta hoon
Lekin shayad bada ho gaya hoon ab main
Uske kaam main uska haath batana chahta hoon
Lekin shayad bada ho gaya hoon ab main
Duniya ghoom li maine
lekin itna sa phasla na tay kar saka
ki usko gale lagake ro sakoon
shayad bada ho gaya hoon ab main
Jahan se shuru hoya tha yeh khushiyan ko dhondne ka safar
sari khushiyan wahi hai samajh chuka hoon ab main
Haan bada ho chuka hoon ab main

Monday 21 January 2019

Teri Khubsurati

Koi insaan nahi joh khuda ke noor ko dekhkar usko bayan kar sake
Woh labs nahi bane joh teri khubsurti ko bayan kar sake
Soochta hoon mazhab hi bana loon tujhe
Tere liye toh koi bhi khud ko fanah kar sakey

Sirf achchi yadein baki hain

Jane kyu sirf achchi yadein baki hain
shayad tere saath kuch bura laga hi nahi
sari baatein pani ki tarha zubani yaad hain
shayad mein kuch bhula hi nahi kabhi
Joh ehsaas tujhse mila uske liye shukraguzar hoon
Shayad who pal na milte toh pyar ko samajhta hi nahi kabhi

Bashindey

Jahan bhi raha hoon main
Do hi Tarha ke baashindon se mila hoon main
Ek woh joh bina shakko shuba
Khuda ke nek bandey they
Aur ek woh jo usne
Mujhe zindagi ka sabak sikhane bheje they

Khanabadosh Hoon

Khanabadosh hoon main khanabadosh hi rahonga
Kaun hai jo is duniya se kuch le ke ja saka hai jo main le jaunga
Kyu banao badi badi imartein
Kyu ikhata karon itna sara saaman
Jab khaali haath aya tha
Aur khaali haath he yahan se chala jaunga 

Aaj bhi kuch jaam lagaye

Aaj bhi kuch jaam lagaye doston ke saath
Aaj bhi kuch yaadein taaza hui gairon ke saath
Phir tanhai ka ehsaas hua tere na hone se saath
Phir haar ke so gaya mein le kar yeh ehsaas
Zindagi guzarni hai yu hi bin tere saas dar saas

Tuesday 15 January 2019

We come alone, we go alone

We come alone, we go alone
On the way, we make friends
On the way, we meet people
We learn, we love, we live
We constantly fight with the conscience, to be with god or to be god
We want to create something
We want to leave a mark
We want to make a difference
We touch so many lives
Still, we end up being alone

We come alone, we go alone
It's not a happy or a sad feeling
It's just that, we were born to be alone
That's how, we were born and that's how, we will die

We come alone, we go alone
When I hear people say, I am afraid of being alone
I wonder, what makes them say that?
Being alone is the truth
Then, how can someone be afraid of the truth?
Then, I feel truth is stranger than fiction
That's why; we make fictitious stories and our lives, revolve around the lie

In the end, we need to make peace with ourselves
As, we come alone, we go alone
On the way, we meet people, we make friends

Tera aks

Tu koi khwab hai ya hakikat har pal yeh sochta hoon mein
Tu mere saath ho na ho har pal tujhko hi dekhta hoon mein
Tu mujhe chahe na chahe mujhe koi malaal nahi
Kyonki 
Tera aks har pal mujhse rubaru hai yeh jaanta hoon mein

Dil ki suno

Zaroori nahi ki har rishtey ka koi naam ho
Joh ibadat mein uthe ho haath unpe kisi mazhab ka ilzaam ho
Tujhe chhana na chhana mere hathoon mein nahi
Ya maula kaash dil ke mamloon mein na koi sawaliya Nishan ho

Shukriya Khuda

Kaabu mein hoti haathon ki lakire agar
Zindagi ki kahani insaan likhta
Mein shukraguzar us khuda ka
Kyonki usse behtar mein kahan likhta