Pages

Saturday 26 January 2019

Maa

Shayad bada ho gaya hoon ab main
Ab ro ro ke bura haal hai
lekin Maa se nahi keh sakta
Jake uske pallo ko pakad ke sab ki shikayat lagana chahta hoon
Lekin shayad bada ho gaya hoon ab main
Uske kaam main uska haath batana chahta hoon
Lekin shayad bada ho gaya hoon ab main
Duniya ghoom li maine
lekin itna sa phasla na tay kar saka
ki usko gale lagake ro sakoon
shayad bada ho gaya hoon ab main
Jahan se shuru hoya tha yeh khushiyan ko dhondne ka safar
sari khushiyan wahi hai samajh chuka hoon ab main
Haan bada ho chuka hoon ab main

No comments:

Post a Comment